Aaj kal har koi ladko ko bura batata hai
Kyun unki aankhon se nikla aasu har koi dekh nahi paata hai, Aaj kal har koi ladko ko bura batata hai. Woh karte hai pyaar humse khud se bhi zyada, Haan!! Woh karte hai pyaar humse khud se bhi zyada, Phir kyun unke pyaar ka hisaab har baar lagaya jaata hai, Aaj kal har koi ladko ko bura batata hai. Apne liye kabhi bhi nahi karte koi farmaish yeh, Har baar parivaar ki khushiyon mein hi inhe bhi khush paaya jaata hai, Phir bhi naa jaane har koi ladko ko hi bura batata hai. Nazrein kharab hoti hai kuch ladko ki beshaq, Maana nazrein kharab hoti hai kuch ladko ki beshaq, Par unki galtiyon ka inzaam har kisi pe kyun lagaya jaata hai, Aaj kal har koi ladko ko bura batata hai. Dil ke toot jaane par bhi nahi kehte yeh bewafa use, Lekin dhokebaazi ka taj inke sar par hi sajaya jaata hi, naa jaane kyun aaj kal har koi ladko ko bura batata hai. Paise naa hone par bhi karte hai yeh sabki zarurate puri, Paise naa hone par ya kam hone par karte hai yeh sabki zarurate puri...